Wednesday 8 October 2014

samaj ki mansikata


Bhartiya samaj me ek aisi mansikata ke log jyada sankhaya main dekhne ko milte hai jo ki dusre logon ki safalta se khus na rahkar unki Aalochna karte hai  jo unki khud ki kamjori hoti hai. Isse unko nuksan hota hai kyonki unka sara samay dusron ki aalochanaon me hi beet jaata hai aur vah khud ke bare me soch nahin pate . Isliye unhe asfalta hi haath lagti hai. Dusron ke bare me accha sochne wale log isliye safal hote hain kyonki  vah jo dusron  ke liye karte hain usse unki lokpriyata and samajik isthiti majboot hoti hai aur vah nirantar aage badhte rahte hain kyonki vah karmyogi hote hain tatha apna sara samay kam karne me lagate hain naaki dusron ki aalochna me.